kya sunte ho rahne bhi do fariyaad hamari khun tum ko rulaegi ye rudad hamari sau sau ne pachhada hai hazaron ko bhi aksar haarij nahin hoti kabhi tadad hamari hum chaal-chalan thik hi rakhte to hain lekin ghatti nahin is qaid ki miad hamari roti ke liye kati hain sang-lakh zaminen tauqir na kar paega farhad hamari kya baat hai is mein koi insan nahin milta waise to hai basti badi aabaad hamari hum log to har ek se manga nahin karte allah kiya karta hai imdad hamari allah kare aisa bhi bebas na ho koi gardan na uda pae hai jallad hamari