us ka aana to khwab jaisa tha us ka jaana azab jaisa tha shab ki tanhaiyon ke sahra mein ek sapna sarab jaisa tha un gunahon ki yaad aati hai jin ka karna sawab jaisa tha meri aankhen hi padh nahin pain us ka chehra kitab jaisa tha us ko chhune se jal gain aankhen dur se jo gulab jaisa tha kis ko batlaun muddaa 'jauhar' haal sab ka kharab jaisa tha