kya talKHi-e-dauran hai tu aankh mila saqi

kya talkhi-e-dauran hai tu aankh mila saqi
ehsas ke sahra mein kuchh phul khila saqi

paimana-e-rangin ab gir jae na hathon se
saghar se bahut pi li aankhon se pila saqi

aa mahfil-e-dauran mein ek rasm nai dalen
main tujh ko pilata hun tu mujh ko pila saqi

hum ahl-e-tariqat to ham-mashrab-e-dauran hain
ab aur khafa hum se kya hoga khuda saqi

rahne do 'kiran' sahib kya shikwe hain saqi se
barson ki riyazat hai rindon ko pila saqi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close