kya taraqqi ke alam-bardar andhe ho gae do ko binai mili to chaar andhe ho gae jin ka nara tha naqab-e-rukh utha jalwa dikha jab nazar aaya jamal-e-yar andhe ho gae har sitam ke baad us ne muskura kar baat ki ye wufur-e-shauq mein har bar andhe ho gae khud-gharaz hain aalim-o-waiz shikam-parwar hain pir fauj kya karti sipah-salar andhe ho gae ghair ki gardan mein banhen meri gardan par chhuri aap ko kya ho gaya sarkar andhe ho gae karwan-e-ilm-o-fan jae na jaane kis taraf aur mujh jaise agar do-chaar andhe ho gae kor-chashmi par hansa koi to andaza hua hum kisi ke ishq mein be-kar andhe ho gae ahl-e-kashti kya karen hai na-khudaon ka ye haal aa gai jab hath mein patwar andhe ho gae aap ko ashaar mein khubi nazar aati nahin meri ustadi se hai inkar andhe ho gae