rahnuma kahte hain Thahro rahzan baiThe na hon

rahnuma kahte hain thahro rahzan baithe na hon
muddaa ye hai ki hum pichhe chalen aage na hon

be-niyazana guzar jaane ka shikwa kya karun
baad muddat ke mile mumkin hai pahchane na hon

kya zaruri hai ki mir-e-karwan aage rahe
karwan ko lutne wale kahin pichhe na hon

ho chuki pagal-shumari ho chuke jangal reserwe
aql walon se kaho ab aur diwane na hon

ye bhi policy hai haq walon ka haq hargiz na do
sath hi ye bhi hidayat hai ki hangame na hon


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close