kya tha azal se qabl batata nahin koi

kya tha azal se qabl batata nahin koi
ye dastan shurua se sunata nahin koi

baatil har ek bazm mein baala-nashin hai
haq ko ab apne pas bithata nahin koi

sahra hai koh-o-dasht hain viran mazar hain
jae kahin bhi jis ko bulata nahin koi

aate hain aate aate sab aadab-e-ashiqi
dil khud se sikhta hai sikhata nahin koi

nachiz se huzur koi kaam hai zarur
yun muft mein sharab pilata nahin koi

kis ko hai dost fursat-e-naz-o-niyaz ab
ruthen kisi se kya ki manata nahin koi

rakht-e-safar utha 'sada' jaana hai ab wahan
wapas jahan se laut ke aata nahin koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close