kyon milate ho sar-e-rah sar-e-am aankhen

kyon milate ho sar-e-rah sar-e-am aankhen
be-sabab shahr mein ho jaengi badnam aankhen

dil-e-betab ke kahne pe khata karti hain
aur le leti hain sar apne pe ilzam aankhen

aankhon aankhon mein laga daw pe sab kuchh apna
ab ye dar lagta hai ho jaen na nakaam aankhen

dekhne baithin jo us ghuncha-badan ka chehra
phir to bas bhul gain dusre sab kaam aankhen

ab ki jab kuchh bhi nahin dekhne laiq baqi
mujh mein kya dhund rahi hain ye siyah-fam aankhen

kaun thi kaun 'sada' nargisi aankhon wali
yaad kar ke jise nam hoti hain har sham aankhen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close