kya tujh ko bataen ai hamdam kya hashr ka saman hota hai jab ishq ki jaan par banti hai jab husn pasheman hota hai jo aankh se aansu bahta hai wo nang-e-gham-e-jaan hota hai wo ashk guhar kahlata hai palkon pe jo raqsan hota hai kya kya na ba-nam-e-lutf-o-karam ai gardish-e-dauran hota hai takhrib ke saman hote hain tamir ka unwan hota hai kya tujh ko khabar hai ai naseh kya chiz mohabbat hoti hai kyunkar shab-e-furqat katti hai aur kya gham-e-hijran hota hai ai ahl-e-chaman ab tum hi kaho ye kar-e-junun pesha to nahin tanzim-e-nasheman hoti hai barbaad gulistan hota hai barbaad jafaon ki aandhi yun hosh udati hai mere jis tarah hawa se ek aanchal gulshan mein pareshan hota hai kuchh dard wafa ki rahon mein hamrah wo chalte to hain magar ho jate hain ojhal nazron se ek mod numayan hota hai us zakhm ki lazzat kya ho bayan us dard ka aalam kya kahiye jis waqt kisi ka tir-e-nazar paiwast-e-rag-e-jaan hota hai mana ki bhanwar mein kashti hai aur yurish-e-tufan bhi hai magar kya khauf 'kamal' ab maujon ka allah nigahban hota hai