kya tum ko bataun ham-nafaso kyon zabt ka daman chhod diya sine mein tapish kuchh aisi thi ek dagh ko raushan chhod diya aadab-e-junun the pesh-e-nazar aur hosh tha itna wahshat mein apna jo gareban yaad aaya us shokh ka daman chhod diya tufan ka guzar sayyaad ka dar kuchh bhi to na tha us maman mein kanton ki talab hi thi shayad khud apna nasheman chhod diya kab tak main rahin-e-dard rahun kab tak mera daman chaak rahe jab yaad badhi kuchh had se siwa to nala-o-shewan chhod diya ab zauq-e-asiri us ko kahen ya kam-nigahi apni 'manzar' zanjir nahin jab panw mein kyon kucha-e-barzan chhod diya hangam-e-bahaaran hai shayad puchho to zara kyon 'manzar' ne yun aabla-pa hone ke liye phir gosha-e-gulshan chhod diya