kharabe mein mohabbat ka guzar hai ki nahin khair duniya mein ba-andaza-e-shar hai ki nahin dekhiye aankh meri aaj bhi tar hai ki nahin dil-e-mahzun pe mohabbat ka asar hai ki nahin manzilen aur bhi hain manzil-e-ulfat ke siwa meri aashufta-mizaji ko khabar hai ki nahin ab to arbab-e-junun ke liye sahra hi nahin wajh-e-taskin teri rah-guzar hai ki nahin nigah-e-naz ke fitnon se khayal aata hai kabhi paigham-rasan un ki nazar hai ki nahin ba-hama jaur-o-jafa zinda hai 'manzar' ab tak ab bhi tu qail-e-eajaz-e-bashar hai ki nahin