kya waqt pada hai tere aashufta-saron par ab dasht mein milte nahin milte hain gharon par pahchan lo is khak-e-rah-e-hirs-o-hawas ko qadmon se ye uthti hai to girti hai saron par khud apne hi andar se ubharta hai wo mausam jo rang bichha deta hai titli ke paron par saughat samajhte the jise dasht-e-wafa ki wo khak bhi sajti nahin ab apne saron par ubhra na tera husn-e-khad-o-khal abhi tak taswir teri qarz hai taswir-garon par kante bhi chune rah ke patthar bhi hatae manzil na hui sahl magar ham-safaron par phir pakke makanon ke makin khanda-ba-lab hain yalghaar hai dariyaon ki phir kachche gharon par