aab-e-rawan hun rasta kyun na dhundh lun main tere intizar mein kab tak ruka rahun tarikiyan muhit hain har anjuman pe aaj lazim nahin ki main teri mahfil mein hi jalun ghabra raha hai ji mera tan ke makan mein majburiyon ke sae mein kab tak pada rahun nikla hun teri bazm se manind-e-dud-e-shama chahun bhi ab kabhi to main wapas na aa sukun milna tera to khair badi baat hai magar itna bhi kam nahin hai ki main khud ko dhundh lun khud se bhi koi rabt nahin mera in dinon tujh se talluqat ki tajrid kya karun aankhen bujhi bujhi hain to manzar mite mite ai zindagi kahan se tujhe aab-o-rang dun 'ruhi' ye daur-e-zist musalsal azab hai khul kar na hans sakun na kabhi khul ke ro sakun