kya wo ab nadim hain apne jaur ki rudad se lae hain merath jo aakhir mujh ko faizabad se sair-e-gul ko aai thi jis dam sawari aap ki phul uttha tha chaman fakhr-e-mubarakbaad se har kas-o-na-kas ho kyunkar kaam-gar-e-be-khudi ye hunar sikha hai dil ne ek bade ustad se ek jahan mast-e-mohabbat hai ki har su bu-e-uns chhai hai un gesuon ki nikhat-e-barbaad se ab talak maujud hai kuchh kuchh laga lae the hum wo jo ek lapka kabhi na khak-e-jahan aabaad se dawa-e-taqwa ka 'hasrat' kis ko aata hai yaqin aap aur jate rahen pir-e-mughan ki yaad se