kya zindagi ne rakkhi saughat mere haq mein har jit us ko hasil har mat mere haq mein taqsim ho gaya hai donon mein ek rahbar ek hath us ke hisse ek hat mere haq mein muddat se nam hai daman aakhir dikhaen kis ko ek roz ho gai thi barsat mere haq mein hain raunaqen kahin to bedariyan kahin hain jo raat us ke haq mein wo raat mere haq mein yun mushtarak the hum sab har fard tha masawi phir bhi hain sare mushkil haalat mere haq mein kya khub hai tumhaara ye mansab-e-sakhawat sab iltifat khud par zulmat mere haq mein lazim hai naghmagi bhi goyai bhi zaruri likhti hai ab khamoshi naghmat mere haq mein