ek naqsh-e-khayal ru-ba-ru hai jo kuchh hai ye kuchh nahin hai tu hai har phul ke sath ek kanta har dost ke sath ek adu hai dil hai to hazar tujh se achchhe aisa hi to ek bada wo tu hai dushman ke jigar ka khar main hun aur us ke gale ka haar tu hai daman jo hai parda-dar-e-wahshat is mein bhi kai jagah rafu hai main aap hi aap ro raha hun kuchh aap hi aap guftugu hai mahshar mein kisi ka hae kahna ab aap ke hath aabru hai o ghair ko aankh dene wale 'muztar' bhi nigah-e-ru-ba-ru hai