kya zist aab-o-rang ka dhoka kahen jise

kya zist aab-o-rang ka dhoka kahen jise
ahl-e-nigah khwab-e-zulekha kahen jise

kam-maigi-e-jurat-e-didar ki qasam
dekha hai yun unhen ki na dekha kahen jise

ek umr ke talatum-e-jazbaat ka nichod
palkon pe hai wo bund ki dariya kahen jise

hasrat bhari nazar ne unhen dekh dekh kar
aisa bana liya hai ki apna kahen jise

ek qalb-e-muztarib ki labaalab hai misl-e-jam
ek chashm-e-baada-rez ki mina kahen jise

aankhon pe kya ho ahl-e-basirat ko eatibar
wo jalwagi hai aaj ki parda kahen jise

nazzara-hae-husn ka hasil na puchhiye
ek khirgi mataa-e-tamasha kahen jise

kis ki nazar ka fitna-e-shorish-pasand hai
ye mahshar-e-hayat ki duniya kahen jise

bakhshi hai dil ke zakhm ko tere khayal ne
wo tazgi ki jaan-e-tamanna kahen jise

nala yahi hai jab to asar ka sawal kya
ek aisi kaifiyat hai ki naghma kahen jise

phaile to kaenat hai simte to ek nigah
ye naz-e-husn ek kinaya kahen jise

zarra bhi naz karta hai apne wajud par
mutthi mein hai wo chiz ki sahra kahen jise

ba in hama numud-e-sharar zindagi hai kya
ek khel aab-o-gil ka tamasha kahen jise

ek tifl-e-sada-dil ke gharaunde ki tarah hai
'safdar' ye musht-e-khak ki duniya kahen jise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close