junun-e-ishq hai 'safdar' kahin ye dil se niklega jo is kuche mein aaega badi mushkil se niklega natija kuchh to mere zabt-e-la-hasil se niklega chaman mein aag chhidkega jo nala dil se niklega nazar dil se na hat jae kahin ai zauq-e-nazzara ki un ka karwan-e-naz isi manzil se niklega hirasan kyon hai gar kashti bhanwar mein aa gai dil ki mohabbat ka safina dub kar sahil se niklega simat aaen agar aankhon mein barq-e-husn ki lahren to ek shoala jahan-afroz mere dil se niklega udai hai jo khak ahl-e-safar ne us ko chhatne do koi rasta isi gard-e-rah-e-manzil se niklega haram kya but-kade bhi kar nahin sakte qubul us ko fareb-e-lutf kha kar jo teri mahfil se niklega khulus-e-dil ye kahta hai qadam aage badhae ja koi khud muskura kar parda-e-mahmil se niklega wo khud dekhenge apne husn ki ye aalam-ashobi ye pahlu bhi meri waraftagi-e-dil se niklega sajae ja chukenge jab bisat-e-arsh ke tare hamara chand bhi hans kar harim-e-dil se niklega hamari aarzu hai khwahish-e-mahbub ke tabe hamara muddaa nikla to us ke dil se niklega meri shoala-nawai phunk degi bazm ko 'safdar' pasina shama ka bhi garmi-e-mahfil se niklega