kyon baad-e-mukhalif se larzan-o-pareshan ho jo sahib-e-quran ho phir kyon wo hirasan ho girdab-e-hawadis ka us ko ho bhala kya gham jo aap hi sahil ho aur aap hi tufan ho sine mein azaem ke tufan jo chhupae ho khatir mein wo kya lae sahra ho bayaban ho dukh-dard zamane ka samjhega bhala wo kya insan se jise nafrat kahne ko to insan ho hain khak-nashinon ki thokar mein mah-o-anjum samjhega wahi lekin jo sahab-e-irfan ho kya tum ko khabar kitni dushwar huin rahen yan us ke liye yaro jo sahab-e-iman ho chhat jaegi ek din ye mahaul ki tariki ek sham-e-yaqin yaro bas dil mein farozan ho phir zarb-e-kalimi se larzan hon sanam-khane kashana-e-wahdat mein phir aaj charaghan ho jina hai 'ziya' tum ko auron ke liye jina kuchh dukh ka mudawa ho kuchh dard ka darman ho