kis tarah katti hai gham ki sham dekha chahiye dard ka hota hai kya anjam dekha chahiye be-khudi shoridgi ka aaj un ki bazm mein kis ke sar aata hai phir ilzam dekha chahiye jalwa-gar hai husn sad-naz-o-ada se baam par kaun phir aata hai zer-e-dam dekha chahiye phir wahi soz-e-tamanna phir wahi josh-e-junun hashr tera ai dil-e-nakaam dekha chahiye kaun hota hai bhari duniya mein ab apna rafiq iltifat-e-gardish-e-ayyam dekha chahiye tishna-lab uthta hun un ki bazm se ya shad-kaam sabr ka milta hai kya inam dekha chahiye nam ho dushnam ho anjam jo bhi ho 'ziya' le liya hai badh ke hum ne jam dekha chahiye