kyon bayaban bayaban bhatakta phira kyon pareshan raha gham-gazida raha aaj ek naujawan mujh se kahne laga qais pagal tha daman-darida raha meri rahon mein gumnam galiyan bhi thin qasr-e-yaran bhi tha shahr-e-aghyar bhi main kisi aastane ka patthar na tha bu-e-gul tha ki har su parida raha jaane kitne musafir yahan aae hain an-ginat nam hain saqf o mehrab par ek purani imarat ke sae tale main bahut der tak aab-dida raha ajnabi ban ke raaton ki tanhai mein mujh se mera pata puchhte hi rahe ye mere lab jo barson muqaffal rahe ye mera sar jo sadiyon khamida raha tum kitabon mein mahfuz kar lo mujhe kya ajab hai koi padhne wala mile main wo aawaz hun jis ka samea nahin main wo lahja hun jo na-shunida raha