kyon husn-e-tabassum ki takmil nahin hoti har surat-e-gul un key tamsil nahin hoti karne ko ujala to kar deti hai gir pad kar har barq sar-e-manzil qindil nahin hoti gul bante hue shayad dekha nahin kaliyon ko kya chiz jawani mein tabdil nahin hoti hota na agar daman ye chaak junun mein bhi ruswai nahin hoti tazlil nahin hoti aankhen hi samajhti hain aankhon key zaban 'manzar' afsana-e-mubham ki tafsil nahin hoti