kyon kahun main ki sitam ka main saza-war na tha dil diya tha tujhe kis tarah gunahgar na tha umr bhar mujh se thi har ek ko be-wajh khalish kyunki main gulshan-e-alam mein koi khar na tha kya na kuchh ho gaya ek ghairat-e-yusuf ke liye kab mohabbat mein main ruswa sar-e-bazar na tha kya ye karta mere zakhm-e-jigar-o-dil ka ilaj charkh-e-be-rahm koi marham-e-zangar na tha fard nikla fan-e-duzdi mein khayal-e-dilbar us ka aana tha ki pahlu mein dil-e-zar na tha kya bahalta gul-o-sumbul se chaman mein mera dil wo teri zulf na tha ye tera rukhsar na tha apni qismat hi ka shaki main mohabbat mein raha shikwa-e-charkh na tha kuchh gila-e-yar na tha hashr ke roz mere husn-e-gunah ka yarab teri rahmat ke siwa koi kharidar na tha teri aankhon ki mohabbat ka faqat tha use rog warna kuchh nargis-e-bimar ko aazar na tha tum ne mahfil mein jagah di use hasrat hai mujhe ghair is aaw-bhagat ka to saza-war na tha nargis us aankh ki bimar-e-gul us rukh pe nisar bagh-e-alam mein kise ishq ka aazar na tha ho gai rasm-e-mulaqat chalo bahs hai kya tum khata par na the aur main bhi wafadar na tha do pyalon mein hai saqi ke ajab kaif 'fahim' aankhen milte hi wo tha kaun jo sarshaar na tha