dil ke dard ke kam hone ka tanha kuchh saman hua hum bhi ab kai din ji lenge is ka bhi imkan hua ek diye ki lau ne sara shahr jala kar khak kiya ek hawa ka jhonka ban kar aandhi aur tufan hua aarzuon ki nichi sans ne us dar par dastak di aur junun ka ek ek lamha mere ghar mehman hua waqt ka katna us se puchho hijr mein jis ki guzri ho ek ek lamha ek sadi tha kab hum par aasan hua koi kisi ka mit nahin hai duniya kahti aai hai hum ne jis ko apna jaana waqt pe wo anjaan hua ishq udanon ka dushman hai kya us ko malum na tha dil ka panchhi qaid mein aa kar kyun itna hairan hua tanha un ki gul-afshani kuchh na puchho kaisi hai jab bhi hazrat-e-waiz bole sab ka ji halkan hua