kyon karte ho duniya ki har ek baat se tauba

kyon karte ho duniya ki har ek baat se tauba
manzur to hai meri mulaqat se tauba

zahid ne chhupaya hai use gosha-e-dil mein
bhagi thi kisi rind-e-kharabaat se tauba

ye fasl agar hogi to har roz piyenge
hum mai se karen tauba ki barsat se tauba

duniya ki koi baat hi achchhi nahin zahid
is baat se tauba kabhi us baat se tauba

masjid nahin darbar hai ye pir-e-mughan ka
darwaze ke bahar rahe auqat se tauba

ye 'dagh'-e-qadah-khwar ke kya ji mein hai aai
sunte hain kiye baithe hain wo raat se tauba


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close