kyon na jahan mein ho ayan aib-o-hunar alag-alag

kyon na jahan mein ho ayan aib-o-hunar alag-alag
dekhte hain ba-chashm-e-ghaur ahl-e-nazar alag-alag

rah mein un ko wahm tha koi na bad-guman ho
aae to sath-sath wo mujh se magar alag-alag

kis ka yaqin kijiye kis ka yaqin na kijiye
lae hain us ki bazm se yar khabar alag-alag

main hun idhar to wo udhar main hun yahan to wo wahan
rahte hain mujh se dur dur aath-pahar alag-alag

ranj-e-firaq-e-yar bhi sadma-e-rozgar bhi
ek dil aur itne gham chahiye ghar alag-alag

un ko ye wahm hai kahin ek se ek mil na jaen
log bahut hain bazm mein sab hain magar alag-alag

hashr ko us ne chun liye 'dagh' gunahgar-e-ishq
tad gai hazar mein us ki nazar alag-alag


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close