kyon khata hain tere ausan meri jaan bata ho na ho tu hai pareshan meri jaan bata dekh chehra ye tera kha bhi raha hai chughli yun na ban be-wajah anjaan meri jaan bata sun chuka bas main bahut aur nahin sunni hai kuchh nahin hai ki ye gardan meri jaan bata imtihan hai to main aasan kiye deta hun chhod qissa faqat unwan meri jaan bata dekh main chhod ke ghar-bar yahan pahuncha hun ho raha hai mera nuqsan meri jaan bata go mera nam hai tarif bhi lekin mujh pe kar guzar aaj ye 'ehsan' meri jaan bata