log parae ho jate hain nahin palatte jo jate hain kaam nahin to socha main ne gali se us ki ho aate hain us ka chehra dekhne wale bas aankhon mein kho jate hain daman par girte hue aansu dagh gunah ke dho jate hain khaulta pani takte bachche rote rote so jate hain wahi nahin to mahfil kaisi tum baitho hum to jate hain