kyon kisi se ho shikayat aap ko aap hi se hai mohabbat aap ko har taraf raqsan fareb-e-iltifat muskurane ki hai aadat aap ko jaane kab tak sabr karna hai hamein jaane kab hogi nadamat aap ko quwwat-e-bardasht meri kam na ho aur khuda rakhe salamat aap ko farq padta kuchh to karta arz kuchh kya sunaun dil ki durgat aap ko muskura deta hun main taklif mein aur ho jati hai zahmat aap ko kis ko 'raghib' ab wafa ka pas hai kyon na hum samjhen ghanimat aap ko