mana ki musht-e-khak se badh kar nahin hun main lekin hawa ke rahm-o-karam par nahin hun main insan hun dhadakte hue dil pe hath rakh yun dub kar na dekh samundar nahin hun main chehre pe mal raha hun siyahi nasib ki aaina hath mein hai sikandar nahin hun main wo lahar hun jo pyas bujhae zamin ki chamke jo aasman pe wo patthar nahin hun main 'ghaalib' teri zamin mein likkhi to hai ghazal tere qad-e-sukhan ke barabar nahin hun main lafzon ne pi liya hai 'muzaffar' mera lahu hangama-e-sada hun sukhan-war nahin hun main