kyon le aae sar-e-bazar suno ai logo main na fankar na shahkar suno ai logo tutte harfon ka nauha hun labon par chun lo ek sada ka hun talabgar suno ai logo har ta'aruf pe nahin jhukti nigah-e-taslim aankh hoti hai samajhdar suno ai logo ek siyah-bakht chamak kar jahan bujh jaega koi ho jaega bedar suno ai logo main ki khush hun mujhe duri ka na ehsas dilao kyon uthate ho ye diwar suno ai logo sukhe zakhmon ke chatakne ki sada bhi anmol dil se badh kar nahin fankar suno a logo