na aur aag ki faslen ugao dharti par samundaron ke ghulamo ab aao dharti par hamare hathon ne kab aur kyon banae hain ujad qabron ki manind ghaw dharti par main khud hi aaunga nilahaton ke des mein tum meri talab mein bhatakne na aao dharti par kisi tarah to hon taraj khwahishon ke makan bahao aag ke dariya bahao dharti par zamana bit gaya man ki god kahte hue nai nai koi tohmat lagao dharti par