kyon na ab dekh len hum be-sar-o-saman ho kar

kyon na ab dekh len hum be-sar-o-saman ho kar
zindagi kaise guzarti hai pareshan ho kar

rang-o-bu ki koi qimat hi bahaaron mein na thi
aa gae aaj wo khud jaan-e-gulistan ho kar

kashmakash hi si sitaron ke tarannum mein rahi
ab jo aawaz koi de to ghazal-khwan ho kar

bazm-ara-e-chaman ko ye abhi kya malum
bujh gain shamen yahan kitni farozan ho kar

jazba-e-farz bhi hai kaif-e-mohabbat mein 'waqar'
gham to un ka bhi hai lekin gham-e-dauran ho kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close