tariKH-nawisi ki ye tarz purani hai

tarikh-nawisi ki ye tarz purani hai
shahon ka fasana hai pariyon ki kahani hai

patthar ke zamane se atom ke zamane tak
padhte hi chale jao insan ki kahani hai

jo rasta rokega bah jaega maujon mein
chadhta hua dariya hai bahta hua pani hai

kya soch rahe ho tum baithe hue aise mein
aao chalo zindan ki diwar girani hai

wo sindh ki ghati ho ya nil ki wadi ho
tahzib-o-tamaddun ki tarikh purani hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close