kyon nigah-e-rahm ki tu ne dil-e-nakaam par ek manzar yas ka tha wo bhi viran ho gaya kal tamanna par teri sadqe kiye the do jahan aaj dil teri tamanna par pasheman ho gaya allah allah kufr-e-ulfat ke yaqin ki wusaten jo khayal aaya mere dil mein wo iman ho gaya badh gai khuddari-e-sail tere inkar se khud tera dast-e-karam ab mera daman ho gaya