kyon pareshan ho rahe ho ek chhoti haar se ek makdi lad rahi thi har dafa diwar se koi to aawaz de de ab mujhe bhi pyar se main to tanha ho gaya hun ishq mein izhaar se krishn jaisa sarthi ab chahti hai zindagi kaam sab bante nahin hain jang mein hathiyar se pith pichhe aaiyega tab kahin mumkin ye ho chahte hain gar mujhe yun jitna talwar se zindagi se tang aakar band kamre mein hun main tang aane lag gaya hun hijr ke kirdar se main ne kashti bhi baha di barishon ke wasl mein main nahin ab aane wala dariya ke us par se zindagi se us ne bahar kar diya maula mujhe ab karo tum mujh ko bahar ruh ki diwar se