kyon teri mohabbat mein dard sah raha hun main gar teri adalat mein be-gunah raha hun main ai khuda hifazat hai us ki ab tere zimme ek tere bharose hi dur rah raha hun main tera ho nahin sakta main kisi bhi taur ab to par tujhe pata hai na jhut keh raha hun main surat-e-nadi ki ab mujh ko kya zarurat hai sirat-e-nadi mein jab yar bah raha hun main ilm git ghazlon ka mujh ko hai nahin ‘shekhar’ hasil-e-mohabbat hai jo bhi kah raha hun main