kyon shahr-e-dil mein tifl-e-tamanna ko pa liye

kyon shahr-e-dil mein tifl-e-tamanna ko pa liye
apne har ek shauq ki pagdi uchhaaliye

tanha bahisht-e-shauq mein aadam hai aaj bhi
pasli se waqt ki koi hawwa nikaliye

puchhenge pairahan ke mizaj ab lahu ke dagh
daman bachaiye ki amama sanbhaaliye

milne ka ab nahin hai kahin gauhar-e-murad
dariya mein dubiye ki samundar khangaliye

is daur-e-khud-nigar mein bhi 'shibli' ko zid hai ye
zanjir-e-mani panw mein lafzon ke daliye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close