choT phulon ki chhaDi se bhi na kyon dil par lage

chot phulon ki chhadi se bhi na kyon dil par lage
shahr mein har aadmi jab dard ka paikar lage

kar-gah-e-zindagi goya hai dasht-e-karbala
raste mein jis taraf bhi jaiye thokar lage

is dayar-e-raushni ne yun kiya hai khira-chashm
zindagi jaise yahan shab se bhi tira-tar lage

raste viran chehre faq labon par khamushi
dosto ye shahr bhi ab mujh ko apna ghar lage

waqt ka be-rahm suraj kyon na ho zohra-gudaz
subh ki thandi hawa bhi jab mujhe khanjar lage

manzilen aisi bhi aai hain safar mein zat ke
phul bhi zer-e-qadam aae to wo patthar lage

zakhm tanhai ka 'shibli' tha na kuchh kam jaan-gudaz
aur is par ye hua ki pai-ba-pai nashtar lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close