kyon shor machate ho be-kar mein pahle se

kyon shor machate ho be-kar mein pahle se
jab jhut hi chhapta hai akhbar mein pahle se

hota hai yahi sab kuchh sansar mein pahle se
bikti hai mohabbat bhi bazar mein pahle se

hum log samajhte the ki hum hain yahan awwal
kuchh log chune pae diwar mein pahle se

bas hath se chhune par mahsus tumhein hoga
soya hai koi dariya angar mein pahle se

phaila to lahar ban kar aakash ko chhu aaya
qatra hi samundar tha aakar mein pahle se

duniya ke sabhi parwat kya rok sake us ko
aawaz hi rahti hai raftar mein pahle se

haalat hawa ban kar shoale mein badalte hain
ek aag to hoti hai fan-kar mein pahle se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close