kyon tum se ilaj-e-dil-e-shaida nahin hota kya dard-e-mohabbat ka mudawa nahin hota tufan-e-bala-khez hai har ashk-e-mohabbat kyunkar kahin qatra kabhi dariya nahin hota milta hi nahin saghar-e-mai baada-kashon ko jab tak teri aankhon ka ishaara nahin hota chhan-chhan ke umadti chali aati hai tajalli koshish bhi karen aap to parda nahin hota bekar hai arbab-e-zamana ki shikayat koi bhi zamane mein kisi ka nahin hota jab tak koi munh mod na le dair-o-haram se asrar-e-haqiqat ka shanasa nahin hota tere sitam-o-jaur se hain band zabanen yani teri bedad ka charcha nahin hota 'shaida' ye dua hai ki bura waqt na aae apna bhi bure waqt mein apna nahin hota