hum ahl-e-khirad ki baaton se kuchh chain jahan mein pa na sake aaj aisi pila de ai saqi ta-hashr hamein hosh aa na sake hail thi idhar khuddari-e-dil mane tha ghurur-e-husn udhar mahrumi-e-qismat kya kahiye hum ja na sake wo aa na sake tark-e-ulfat ki baaten to samjhain bahut naseh ne hamein jine ka sahaara kya hoga ye baat zara samjha na sake hai kufr dayar-e-ulfat mein gham ke hathon nalan hona wo nam-e-mohabbat hi kyon le jo tab ghamon ki la na sake dil sang-dilon se jab uljhe qimat us ki badh jati hai us shishe ki hai qadr hi kya jo patthar se takra na sake dil ki dhadkan par hota hai dhoka qadmon ki aahat ka aawaz to aati hai paiham phir kyon wo abhi tak aa na sake uljhi hui gutthi milne ki kis taur sulajhti ai hamdam kuchh hum se koshish ho na saki kuchh zahmat wo farma na sake kya kya na sitam hum par dhae apnon ne karam ke parde mein phir bhi hum is ka shikwa tak ek bar zaban par la na sake wo is se ziyaada kya karte 'shaida' teri gham-khwari mein aansu to bahae aankhon se kuchh munh se magar farma na sake