kyun andheron ka musafir hai muqaddar apna koi suraj to nikale ye samundar apna zulmat-e-shab mein jalae hue ashkon ke charagh ishq ki rah mein khud ishq hai rahbar apna kya lagaega koi meri ana ki qimat donon aalam se giran-tar hai ye jauhar apna koi chehra to kahin ho tere chehre ki tarah shahr-e-khuban mein nahin ek bhi manzar apna dil mein raushan hai tera dard zamane se nihan kya sadaf ne bhi dikhaya kabhi gauhar apna us ke lab-khand mein dhal jae khizan ka mausam us ko gulnar karen zakhm dikha kar apna anjuman gosh-bar-awaz hai 'rifat' dekhen kis ke sine mein utarta hai ye nashtar apna