aansu gira to kanch ka moti bikhar gaya phir subh tak dupatta sitaron se bhar gaya main chunari dhundhti rahi aur itni der mein darwaze par khada hua ek khwab mar gaya sarma ki chandni thi jawani guzar gai jhulsa rahi hai dhup budhapa thahar gaya main raftagan ki baat pe be-sakhta hansi anjam us hansi ka bhi afsurda kar gaya tum kah rahe ho hijr mein marta nahin koi phir kyon gham-e-judai mein wo hans mar gaya khali gali mein sare makan sochte rahe is samt jis ko aana tha wo kis nagar gaya in paniyon ko tishna-labon se gurez tha chadhti nadi ka mast bahao utar gaya thodi si der mil ke bahut der ro liye phir apne ghar ko main gai wo apne ghar gaya sauda tha sar mein dur bahut dur ja basen azm-e-safar kiya to mera ham-safar gaya patthar ki murti bani main dekhti rahi ghar pichhe rah gaya tha wo aage guzar gaya