kyun hai kah aaina is darja tu hairan mujhse

kyun hai kah aaina is darja tu hairan mujh se
apni rudad ko mat kijiyo pinhan mujh se

hun hawa-khwah main ai gul tera jiyun mauj-e-nasim
ghuncha-san kab hai girah ka tere nuqsan mujh se

chashm-e-mast us ki ne dil tod ke pheri hai nazar
ki na mange kahin is shisha ka tawan mujh se

tir ne khwab mein hamdard jo paya apna
dard-e-dil kahne laga ho ke wo giryan mujh se

ram ka hirnon ke bagule ki bhi betabi ka
raaz sab waz kiya phad gareban mujh se

garm rakhta tha kaha madrasa jab wadi ka
ilm-e-wahshat kiye tahsil ghazalan mujh se

sar par ab khak udata hua phirta hun 'ishq'
saf dekha to na thi khatir-e-yaran mujh se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close