kyun kah ke dil ka haal use bad-guman karun ye raaz wo nahin hai jise main bayan karun mujh ko ye zid ki wasl ka iqrar tum se lun tum ko ye hat ki main na kabhi tujh se han karun ye kah rahi hai mujh se kisi ki nigah-e-sharm fursat agar haya se mile shokhiyan karun tu mujh ko aazma ke wafa-dariyon mein dekh main bewafaiyon mein tera imtihan karun ukta gaya hai shara ki pabandiyon se ji dil chahta hai baiat-e-pir-e-mughan karun 'bekhud' rafiq hai na koi ham-tariq hai dil par jo kuchh guzarti hai kis se bayan karun