dildar ki kashish ne aincha hai man hamara hai khak is qadam ki shayad watan hamara ai dostan-e-jaani dil sin karo tawajjoh ta-jaan pas apne pahunche badan hamara gar zindagi hai baqi phir tum sin aa milenge didar aakhiri hai jo hai maran hamara darya-e-muddaa ka lae hain thah jab sin har bund ashk ka hai durr-e-adan hamara darkar nahin hai pahren bar mein qaba-e-zinat ye bas hai khaksari khaki baran hamara sab chhod khanuma kun hain us ki justuju mein hai dasht aur bayaban bagh-o-chaman hamara manind-e-kohkan hai be-kal 'siraj' ka dil shayad ki man lewe shirin-sukhan hamara