kyun khalwat-e-gham mein rahte ho kyun gosha-nashin bekar hue aakhir tumhein sadma kya pahuncha kya soch ke khud-azar hue kyun saf kushada raston par tum thokaren khate phirte ho kyun tira-o-tar si galiyon mein tum aan ke khush-raftar hue kyun rasta chhod ke chalte ho kyun logon se katraate ho kyun chalte phirte apne liye tum aap hi ek diwar hue kya uthte baithte sochte ho kya likhte padhte rahte ho is umr mein ye be-kaifi kyun kis waste nek-atwar hue kyun aise safar par nikle ho manzil nahin jis ki koi bhi kyun rah pe aisi chalte ho sae bhi jahan diwar hue kyun tark-e-alaiq ko tum ne samjha hai ilaj-e-gham aakhir dekho to wali sufi bhi yahan kis that ke duniya-dar hue mayusi-e-paiham se tum ne yarana ye kaisa gantha hai andoh-o-alam the jitne bhi aakhir wo gale ka haar hue is kalba-e-ahzan se hargiz ubhrega na suraj koi bhi kab khak sitara-bar hui kab sae sahar-asar hue kab subh ke nale kaam aae kya girya-e-nim-shabi se mila is qarya-e-khwab-e-faroshan mein tum kis ke liye bedar hue bekar ulajhte rahte ho kyun ulti sidhi baaton mein ye marhale wasl-o-hijran ke ab aise bhi kyun dushwar hue us kuche ki rah to samjhao jis kuche mein jaana mushkil hai us shakhs ka nam to batlao tum jis ke liye bimar hue mushfiq ne ye baaten sun ke kaha baaten na huin ashaar hue ye dard batane wale bhi kis shan ke khush-guftar hue sad-shukr ki khush-uslubi se takmil ko pahunchi ruswai muhtaj-e-dua the jo khud hi aakhir wo mere gham-khwar hue