kyun kharabaat mein laf-e-hama-dani waiz kaun sunta hai teri harza-bayani waiz daftar-e-waz ke nuqte bhi na honge itne jitne hain dil mein mere dagh-e-nihani waiz sach sahi jannat-o-dozakh ka fasana lekin kis tarah man lun main teri zabani waiz be-wazu pa-e-khum-e-baada ko chhu leta hai khak aati hai tujhe martaba-dani waiz narm bhi dil sukhan-e-garm se ab tak na hua dekh li hum ne teri shoala-bayani waiz nek-o-bad khub samajhta hun karun kya ki abhi sunne deta nahin aashob-e-jawani waiz rindi-o-zohd riyai mein hain donon yakta misl mera hai na tera koi sani waiz ye kharabaat hai ja khair se apne ghar ko munh ki khulwae na phir tez-zabani waiz aaj samjha gai kya tujh ko ibaadat teri na raha mashghala-e-ashk-fishani waiz is qadar hai jo dam-e-naza hawas duniya ki sath le jaega kya aalam-e-fani waiz rind hun de mujhe jam-e-mai-athar ki khabar tujh ko kausar ka mubarak rahe pani waiz zard ho jata hai sun kar rukh-e-gulgun mera teri taqrir hai ya baad-e-khizani waiz naqsha firdaus ka baaton mein dikha deta hai ye zaban hai teri ya khama-e-mani waiz chalte phirte nahin be-wajh ye rona mera sath phirta hun liye gham ki nishani waiz kya ruke khama-e-'taslim' dam-e-fikr-e-sukhan taba mein aaj hai dariya ki rawani waiz