uDa liye hain kuchh arbab-e-gulistan ne to kya

uda liye hain kuchh arbab-e-gulistan ne to kya
hazar shewa-e-nau hain meri fughan ke liye

zamin-e-kucha-e-jaanan se aa rahi hai sada
bulandiyan nahin makhsus aasman ke liye

hai khatm hausla-mandi wajud-e-adam par
satiza-e-kar hai fath-e-gham-e-jahan ke liye

hai sakht be-adabi gar kahe fasana-e-ishq
har ek baat munasib nahin zaban ke liye

andheri raat thaki himmaten kadi manzil
salamti ki dua mang karwan ke liye

sajai fikr-e-darakhshan ne meri bazm-e-nujum
thi muntazir ye zamin naz-e-asman ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close