kyun khayal-e-ranj-o-rahat se na hon begana hum jalwa-gah-e-yar hai dil yani khalwat-khana hum hain kabhi waiz kabhi hain murshid-e-mai-khana hum ghumte jate hain hasb-e-gardish-e-paimana hum lakh par bhaari hain teri dast-giri chahiye kyun kisi pe bar hon ai himmat-e-mardana hum khaiye ye zahr kab tak khae jati hai ye zist ai ajal kab tak rahenge rahn-e-ab-o-dana hum tu hamein kahta hai diwana to diwane sahi pand-go aakhir tujhe ab kya kahen diwana hum muddai dil ishq aain-o-adalat bazm-e-naz did-bazi jurm mujrim aankh hai jurmana hum aab-e-ashk-o-atish-e-shauq-o-hawa-e-ah se hain wajud-arai-e-khakistar-e-parwana hum gum hai nam-e-amiri khub ai nigah-e-samri tere afsun se bane hain zinat-e-afsana hum wajh-e-ruswai hai 'natiq' masti-e-bazm-e-sukhan baada-paima hain ba-jam-e-ghaalib-e-mastana hum